jun zarra nahin ek jagah khak-nashin hum ai mahr-e-jahan-tab jahan tu hai wahin hum shab halqa-e-rindan mein ajab sair thi saqi saghar ko samajhte the mah-e-haala-nashin hum sete hain sada rashk-e-atu-e-qalami dekh har tar-e-sarishk apne se daman-e-zamin hum ai rashk-e-nasim-e-sahari kyun hai mukaddar gulshan mein tujhe dekhte hain chin-ba-jabin hum barpa na kahin kije ab shor-e-qayamat wahshat-zada ai khana-e-zanjir nahin hum sar-rishta rah-e-ishq ka ab hath laga hai jun dana-e-tasbih na thahrenge kahin hum le kar mah-o-khurshid ki phir tegh-o-sipar ko ai charkh tujhe jaante hain bar-sar-e-kin hum yak dast utha lewenge is safha-e-dil par naqsh-e-qadam-e-yar ko jun naqsh o nagin hum isa-nafas ab jald pahunch tu ki hain tujh bin mehman koi dam ke dam-e-baz-pasin hum kho baithe hain us ishq ke hathon se 'nasir' ab hosh-o-khirad o sabr-o-qarar o dil-o-din hum