shikwa-e-daur-e-jam hai saqi zindagi tishna-kaam hai saqi rok de gardish-e-zamana ko tere hathon mein jam hai saqi fursat-e-sabr-o-ajr kis ko ho zindagi tez-gam hai saqi mai ka pina haram ho ki na ho na pilana haram hai saqi dar-haqiqat hayat-o-maut abhi qissa-e-na-tamam hai saqi talib-e-intiqam kyun-kar hon umr khud intiqam hai saqi aankh milte hi kar diya madhosh ye tumhaara hi kaam hai saqi hum charagh-e-'sahar' sahi lekin mai-kade ki tu sham hai saqi