main ek kiran hun ujala hai tamkanat meri tamam rangon se bhi hai munasibat meri main ek khala hun na buniyaad hai na chhat meri magar hain donon jahan phir bhi milkiyat meri guzar raha hun nasheb-o-faraaz se lekin sala-e-am hai phir bhi salahiyat meri kabhi mahakta tha jo lucknow hina ki tarah isi dayar mein likkhi hai shahriyat meri kabhi bhi jal nahin sakti hain ungliyan 'mutrib' har ek charagh ki lau par hai saltanat meri