junun-e-ishq ki ye fitna-samani nahin jati nahin jati hamari chaak-damani nahin jati musibat yun kabhi duniya mein pahchani nahin jati nahin aati bala jo sar pe wo mani nahin jati guman-e-bad na kar ai mohtasib rindon ki haalat par ki ho kar chaak-daman pak-damani nahin jati nahin marta kabhi go bul-hawas har ek pe marta hai nahin jati subuk-sar ki giran-jaani nahin jati zyaada dur sahil to nahin kuchh bahr-e-hasti ka magar kashti kidhar jae ki tughyani nahin jati hamare ghar ki virani se hai dil bastagi us ko tum aa kar jab chale jate ho virani nahin jati tamasha dekhne wale to lakhon aate jate hain wahi jalwe hain jalwon ki farawani nahin jati teri taswir aaina hai meri chashm-e-hairat ka nahin jati in aainon ki hairani nahin jati abhi nazron mein phirta hai wo bazm-e-naz ka manzar mere dil se tere jalwon ki arzani nahin jati hijabaat-e-jahan se har ada chhan chhan ki aati hai gharaz parde se un ki jalwa-samani nahin jati mujhe samjha rahe hain aap kya ai naseh-e-mushfiq mohabbat mein kisi ki baat hi mani nahin jati rahega shairi ka nam 'khushtar' rahti duniya tak sukhan-jui sukhan-goi sukhan-dani nahin jati