tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila hazar naqsh mile koi raazdan na mila main sochta hun ki ye bhi hasin hain lekin tasawwur-e-rukh-e-jaanan ka imtihan na mila ye sach nahin hai ki chhutne ke baad jaan-e-visal tujhe zamin na mili mujh ko aasman na mila ada-e-khas mili aur sala-e-am mili magar kahin bhi wo andaz-e-jaan-e-jaan na mila gada-shanasi-e-ahal-e-karam musallam hai hum uth ke jis ke qadam len wo pasban na mila jahan bhi dekha wahin paya tujh ko jaan-e-visal teri nigah ka partaw kahan kahan na mila wo dil hi kya jo mohabbat se aashna na hua safina kya wo jise bahr-e-be-karan na mila kise sunaen ghazal bahr-e-sharh-e-dil 'masud' ki is dayar mein koi bhi nukta-dan na mila