junun-e-ishq ye kya rang-e-mahfil hai jahan main hun jo aalam hai mera hi aalam-e-dil hai jahan main hun yahan tak kar-farma jazb-e-kaamil hai jahan main hun ki farq-e-zahir-o-baatin bhi mushkil hai jahan main hun siwa-e-husn koi bhi nahin hai maqsad-e-hasti siwa-e-ishq har ehsas-e-baatil hai jahan main hun junun-e-gham ka shikwa kis se kije kis tarah kije tajalli khud sharik-e-alam-e-dil hai jahan main hun kuchh aisi be-niyazi si talash-e-chaaragar se hai yahan har ranj goya rahat-e-dil hai jahan main hun mujhe tufan to uthte hue mahsus hote hain ba-zahir koi dariya hai na sahil hai jahan main hun shuur-e-har-haqiqat munhasir diwangi par hai magar diwangi ek kar-e-mushkil hai jahan main hun baqa targhib deti hai mujhe shauq-e-farawan ki fana minjumla-e-asar-e-manzil hai jahan main hun liye jata hai koi 'kaif' warna ye haqiqat hai yahan to do qadam chalna bhi mushkil hai jahan main hun