musalsal tairne wala bhi aksar haar jata hai

musalsal tairne wala bhi aksar haar jata hai
samundar se jo bach nikle to dariya mar jata hai

sharafat ka meri charcha sar-e-bazar kya pahuncha
jise dekho wahi aa kar mujhe lalkar jata hai

sar-e-maqtal main jaan-bakhshi ki us se iltija kar ke
agar sar ko bacha lun to mera kirdar jata hai

hamein chhu kar jo ban jata hai mitti se khara sona
wahi ek roz hum paras ko thokar mar jata hai

hamein talqin karta hai jo har lamha wo sajde mein
khuda jaane ki sachche dil se kitni bar jata hai

main jab bhi ghar se niklun har taraf ek shor uthta hai
miyan dhundo wo dekho ishq ka bimar jata hai

jahan par farz ko ehsan samjha jae hai 'tashna'
tu apna haq talab karne wahan be-kar jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close