junun-e-shauq ab bhi kam nahin hai magar wo aaj bhi barham nahin hai bahut mushkil hai duniya ka sanwarna teri zulfon ka pech-o-kham nahin hai bahut kuchh aur bhi hai is jahan mein ye duniya mahz gham hi gham nahin hai taqaze kyun karun paiham na saqi kise yan fikr-e-besh-o-kam nahin hai udhar mashkuk hai meri sadaqat idhar bhi bad-gumani kam nahin hai meri barbaadiyon ka ham-nashino tumhein kya khud mujhe bhi gham nahin hai abhi bazm-e-tarab se kya uthun main abhi to aankh bhi pur-nam nahin hai ba-in sail-e-gham o sail-e-hawadis mera sar hai ki ab bhi kham nahin hai 'majaz' ek baada-kash to hai yaqinan jo hum sunte the wo aalam nahin hai