junun-e-shauq ka hasil na tum samjhe na hum samjhe

junun-e-shauq ka hasil na tum samjhe na hum samjhe
kahan donon ki hai manzil na tum samjhe na hum samjhe

dubona chahti thin jo bhi hum donon ki kashti ko
unhin maujon mein tha sahil na tum samjhe na hum samjhe

tamannaon ke tufanon ne fursat hi na milne di
maqamat-e-nigah-o-dil na tum samjhe na hum samjhe

mohabbat ne kuchh aisa hausla bakhsha tha donon ko
kisi mushkil ko bhi mushkil na tum samjhe na hum samjhe

shadid ehsas-e-qurbat se jahan madhosh the hum tum
wahin tha imtihan-e-dil na tum samjhe na hum samjhe

mohabbat sirf izhaar-e-mohabbat ko nahin kahte
fareb-e-sai-e-la-hasil na tum samjhe na hum samjhe

wafa ka ahd kaisi sadgi ke sath kar baithe
wafa hai kis qadar mushkil na tum samjhe na hum samjhe

sabhi begana the zahir mein hum donon ki haalat se
magar koi na tha ghafil na tum samjhe na hum samjhe

wo kahte hain hamein bhi 'kaif' ruswa kar diya tum ne
magar ruswai ka hasil na tum samjhe na hum samjhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close