qarya-e-intizar mein umr ganwa ke aae hain khak-ba-sar is dasht mein khak uda ke aae hain yaad hai tegh-e-be-rukhi yaad hai nawak-e-sitam bazm se teri ahl-e-dil ranj utha ke aae hain jurm thi sair-e-gulistan jurm tha jalwa-ha-e-gul jabr ke bawajud hum gasht laga ke aae hain pahle bhi sar bahut kate pahle bhi khun bahut baha ab ke magar azab ke daur bala ke aae hain raat ka koi pahar hai tez hawa ka qahr hai khauf-zada dilon mein sab harf dua ke aae hain