junun hai dasht hai tanhaiyan hain aur main hun azal se baadiya-paimaiyan hain aur main hun meri ghazal mein hain qaus-e-quzah ke saton rang urus-e-fikr ki angdaiyan hain aur main hun kahan mahaz-e-sukhan aur kahan mera jaisa bas us ki hausla-afzaiyan hain aur main hun wahi hai mera muhafiz wahi nigahban hai ki mere donon taraf khaiyan hain aur main hun na puchhiye mere aish-o-nishat ke asbab sunahre khwabon ki ranaiyan hain aur main hun hara-bhara na rahe kis liye mera har zakhm ki hadsat ki purwaiyan hain aur main hun akele-pan ka jo ehsas tha wo ab bhi hai nazar-fareb shanasaiyan hain aur main hun hiras khauf sarasimgi dhuan aatish guzishta ahd ki parchhaiyan hain aur main hun sukhan-shanason ki mahfil mein aaj ai 'rahbar' rubaiyat hain chaupaiyan hain aur main hun