wo kusht-o-khun wo tashaddud to ek bahana tha use to sirf mera zarf aazmana tha suna hai ahd-e-guzishta ke fard fard ka zehn urus-e-fikr-o-nazar ka nigar-khana tha mujhe jo di gai aksar saza-e-tanhai wo sab se tut ke milne ka shakhsana tha meri jagah koi hota usi ka ho jata us ajnabi ka har andaz walihana tha meri zaruraten meri ana ko le dubin i'anaten thin kisi ki ki taziyana tha nawadiraat se tujh ko agar hai dilchaspi mujhe na bhul ki mera bhi ek zamana tha jahan ye bijliyan hoti thin 'rahbar' aasuda khuda gawah wo mera hi aashiyana tha