soz-e-jigar ka haal kisi par ayan na ho jalta rahun us aag mein lekin dhuan na ho patthar wo dil hai jo na ho tera asir-e-zulf wo aankh kya jo tere liye khun-chakan na ho auron ki tarah jalwa-e-didar ke liye ya-rab mujhe quyud-e-zaman-o-makan na ho meri zaban-e-haal mera tarjuman bane khuddariyon pe minnat-e-nutq-o-bayan na ho aane ko lab pe shikwa-e-jaur-o-jafa ho jab us din khuda kare mere munh mein zaban na ho waiz rahin-e-kaba barahman hai waqf-e-dair tum jalwa-gar batao kahan ho kahan na ho kya shustagi ho us ke mazamin mein 'jalal' jis ko nasib sohbat-e-ahl-e-zaban na ho