pas-e-adab mein josh-e-tamanna liye hue main bhi hun ek hubab mein dariya liye hue rag rag mein aur kuchh na raha juz khayal-e-dost us shokh ko hun aaj sarapa liye hue sarmaya-e-hayat hai hirman-e-ashiqi hai sath ek surat-e-zeba liye hue josh-e-junun mein chhut gaya aastan-e-yar rote hain munh mein daman-e-sahra liye hue 'asghar' hujum-e-dard-e-gharibi mein us ki yaad aai hai ek tilismi tamanna liye hue