junun ke ahd mein aawara ku-ba-ku hona

junun ke ahd mein aawara ku-ba-ku hona
baghair mushk ke sanson ka mushk-bu hona

usi ne chaha nigahon ke ru-ba-ru hona
wagarna sahl na tha us se guftugu hona

aba qaba ke liye to ye baat mumkin hai
jigar ke chaak ka mumkin nahin rafu hona

na jaane kab se hai hairat-zada banae hue
us ek su ka nigahon mein chaar su hona

tulua hona ufuq par mah-e-visal sa kuchh
tere badan ka sar-e-sham rang-o-bu hona

jahan jahan se nikal kar ye barq girti hai
wahan wahan hai ye chaak-e-falak rafu hona

thakan malal udasi safar ki nakaami
ye ho qubul to sargarm-e-justuju hona

main apna khun diye ja raha hun duniya ko
ab is ke baad shafaq ko hai surakh-ru hona

shab-e-firaq ne aasan kar diya 'iqbaal'
hamare ashk ka jugnu ke ru-ba-ru hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close