junun ke dam se aakhir martaba kaisa mila mujh ko abhi farhad-o-qais aae the kahne marhaba mujh ko kisi surat bhi radd hota nahin ye faisla dil ka nazar aata nahin koi bhi tujh sa dusra mujh ko sar-e-kunj-e-tamanna phir khushi se gungunaunga agar wo laut kar aae to phir tum dekhna mujh ko na jaan-e-rashk se ghusse se gham se ya raqabat se ye kis andaz se takta hai tera aaina mujh ko khule to sab zamanon ke khazane hath aa jaen dar-e-iqlim-e-haft-alam hai wo band-e-qaba mujh ko guman mein bhi guman lagti hai ab to zindagi meri nazar aata hai ab wo khwab mein bhi khwab sa mujh ko kasafat bar pa sakti nahin aisi latafat mein karam us ka ki bakhsha dil ke badle aabla mujh ko saba meri qadam-bosi se pahle gul na dekhegi agar wahshat ne kuchh din bagh mein rahne diya mujh ko na nikli aaj gar koi yahan yakjai ki surat to kal se dhundte phirna jahan mein ja-ba-ja mujh ko guzargah-e-nafas mein hun misal-e-barg-e-awara koi dam mein uda le jaegi baad-e-fana mujh ko wo dil-awez aankhen wo lab-o-rukhsar wo zulfen nahin ab dekhna kuchh bhi nahin us ke siwa mujh ko azal se ta-abad duniya se le kar aasmanon tak nazar aata hai teri hi nazar ka silsila mujh ko mere hone se hi kuchh e'tibar us ka bhi qaem hai junun tum se nimat lega jo diwana kaha mujh ko koi 'irfan' mujh mein se mujhe aawaz deta hai are tu sochta kya hai kabhi kuchh to bata mujh ko