kyun aashna-e-gham dil-e-wahshat-asar nahin manus-e-iltifat wo zalim agar nahin main hun talash-e-rah-e-mohabbat hai dasht hai saya nahin nishan nahin ham-safar nahin phir rah-rau se leta hun manzil ka kuchh suragh sab rahbar hain mere koi rahbar nahin phir andalib-e-zar ne tinke utha liye shayad chaman ujadne ki is ko khabar nahin main aur jam-o-naghma-o-mutrib se wasta khush hun ki mera bazm-e-tarab mein guzar nahin kyun jal na jae tab-e-rukh-e-yar dekh kar dil hai ye koi chashm-e-haqiqat-nigar nahin auraq-e-do-jahan pe jo tahrir ho sake itna mera fasana-e-gham mukhtasar nahin zabt-e-junun ne dhai hain dil ki imaraten ab is dayar mein koi diwar-o-dar nahin dil ko supurd karte hain apna payam-e-jaan ye mo'tabar nahin to koi mo'tabar nahin paiwast hon na jis mein zamane ke dil 'jigar' kuchh aur hai wo aap ka tir-e-nazar nahin kaisi dua kahan ka asar kis ka muddaa kuchh aag ke siwa mere dil mein 'jigar' nahin