us ka lahja kitab jaisa hai aur wo khud gulab jaisa hai dhup ho chandni ho barish ho ek chehra ki khwab jaisa hai be-hunar shohraton ke jangal mein sang bhi aaftab jaisa hai bhul jaoge khal-o-khad apne aaina bhi sarab jaisa hai wasl ke rang bhi badalte the hijr bhi inqalab jaisa hai yaad rakhna bhi tujh ko sahl na tha bhulna bhi azab jaisa hai be-sitara hai aasman tujh bin aur samundar sarab jaisa hai