junun ke josh mein insan ruswa ho hi jata hai gareban phadne se fash parda ho hi jata hai mohabbat khauf-e-ruswai ka bais ban hi jati hai tariq-e-ishq mein apnon se parda ho hi jata hai jawani wasl ki lazzat pe raghib kar hi deti hai tumhein is baat ka gham kyun hai aisa ho hi jata hai bigadte kyun ho aapas mein shikayat kar hi lete hain adu ka tazkira dushman ka charcha ho hi jata hai tumhaari nargis-e-bimar achchha kar hi deti hai jise tum dekh lete ho wo achchha ho hi jata hai akela pa ke un ko arz-e-matlab kar hi leta hun na chahun to bhi izhaar-e-tamanna ho hi jata hai mera dawa-e-ishq aghyar baatil kar hi dete hain jise jhuta bana len yar jhuta ho hi jata hai butan-e-be-wafa 'muztar' dil-o-din kar hi lete hain tumhin par kuchh nahin mauquf aisa ho hi jata hai