umid-e-mehr par ek hasrat-e-dil hum bhi rakhte the tamanna wasl ki ai mah-e-kaamil hum bhi rakhte the kabhi gulzar dagh-e-ishq se dil hum bhi rakhte hai kabhi ek taza gulshan ai anadil hum bhi rakhte the kisi din to wo bahr-e-husn aa kar zeb-bar hota ki aaghosh-e-tamanna shakl-e-sahil hum bhi rakhte the alag tu bazm se uth kar jo sun leta to kah dete ki kuchh kuchh iltija ai zeb-e-mahfil hum bhi rakhte the hamein be-maut kyun mara ajal tu kis liye aai hawa-e-bosa-e-shamshir-e-qatil hum bhi rakhte the hamare dil ka uqda kyun na ai ghuncha-dahan khola hawas bose ki thi thodi si mushkil hum bhi rakhte the karen ab kya kahan dhundhen ganwaya ku-e-gesu mein kabhi yaadash-ba-khair ai hamdamo dil hum bhi rakhte the hamara imtihan o qadar-andaz lazim tha dil-e-majruh-o-muztar jaan-e-bismil hum bhi rakhte the kiya pamal us ko kyun na tum ne sath sabze ke tumhaare zer-e-pa ai jaan-e-jaan dil hum bhi rakhte the nahin ab kasrat-e-dagh-e-junun se laeq-e-hadiya kabhi dil peshkash karne ke qabil hum bhi rakhte the haqarat se na dekho aaj hum ko ai pari-ruyo kabhi tum sa koi zohra-shamail hum bhi rakhte the ajab hai kya hui ulfat wo ai jaan donon jaanib ki yahi dil tum bhi rakhte the yahi dil hum bhi rakhte the yunhi shab bhar jala karte the yaad-e-shoala-e-rukh mein yahi sozish kabhi ai sham-e-mahfil hum bhi rakhte the lab-e-jaan-bakhsh par kya fauq dete chashm-e-fattan ko ki 'anjum' kuchh tamiz-e-haqq-o-baatil hum bhi rakhte the