jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho ai jaan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho ye khwab hai khushbu hai ki jhonka hai ki pal hai ye dhund hai baadal hai ki saya hai ki tum ho is did ki saat mein kai rang hain larzan main hun ki koi aur hai duniya hai ki tum ho dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho ye umr-e-gurezan kahin thahre to ye jaanun har sans mein mujh ko yahi lagta hai ki tum ho har bazm mein mauzu-e-sukhan dil-zadagan ka ab kaun hai shirin hai ki laila hai ki tum ho ek dard ka phaila hua sahra hai ki main hun ek mauj mein aaya hua dariya hai ki tum ho wo waqt na aae ki dil-e-zar bhi soche is shahr mein tanha koi hum sa hai ki tum ho aabaad hum aashufta-saron se nahin maqtal ye rasm abhi shahr mein zinda hai ki tum ho ai jaan-e-'faraaz' itni bhi taufiq kise thi hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho