shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki khair manao nigar-e-shams urus-e-qamar ki khair manao sipah-e-dushman-e-insaniyat qarib aai dayar-e-husn sar-e-rahguzar ki khair manao abhi to auron ke diwar-o-dar pe yurish thi ab apne saya-e-diwar-o-dar ki khair manao chali hai aatish-o-ahan ke dil se baad-e-sumum chaman ke jalwa-e-gul-ha-e-tar ki khair manao guzar na jae kahin bahr-o-bar se khun ki dhaar farogh-e-shabnam-o-ab-o-guhar ki khair manao ye nafa-khoron ki danish-farosh duniya hai mata-e-ilm ki jins-e-hunar ki khair manao mere liye hai meri muflisi-o-napaki tum apni paki-e-qalb-o-nazar ki khair manao