khamosh jada-e-inkar bhi hai sahra bhi aza mein pa-e-junun bar bhi hai sahra bhi kahin bhi jaen lahu ko to sirf hona hai ki tishna kucha-e-dildar bhi hai sahra bhi mata-e-zist khariden ki teri samt badhen hamare samne bazar bhi hai sahra bhi mujhe to sari hadon se gurez karna hai mera harif to ghar-bar bhi hai sahra bhi yahin ye dhul yahin khushbuen bhi udti hain ye dil ki khitta-e-gulzar bhi hai sahra bhi na chhodta hai na zanjir kar ke rakhta hai tera khayal ki diwar bhi hai sahra bhi ye kya jagah hai jahan donon waqt milte hain yahan darakht samar-bar bhi hai sahra bhi zara si chuk se pansa palat bhi sakta hai ki aql shahr-e-fusun-kar bhi hai sahra bhi