junun ki dast-giri kis se ho gar ho na uryani gareban-chaak ka haq ho gaya hai meri gardan par ba-rang-e-kaghaz-e-atish-zada nairang-e-betabi hazar aaina dil bandhe hai baal-e-yak-tapidan par falak se hum ko aish-e-rafta ka kya kya taqaza hai mata-e-burda ko samjhe hue hain qarz rahzan par hum aur wo be-sabab ranj-ashna dushman ki rakhta hai shua-e-mehr se tohmat nigah ki chashm-e-rauzan par fana ko saunp gar mushtaq hai apni haqiqat ka farogh-e-tala-e-khashak hai mauquf gulkhan par 'asad' bismil hai kis andaz ka qatil se kahta hai ki mashq-e-naz kar khun-e-do-alam meri gardan par fusun-e-yak-dili hai lazzat-e-bedad dushman par ki wajd-e-barq jun parwana baal-afshan hai khirman par takalluf khar-khar-e-iltimas-e-be-qarari hai ki rishta bandhta hai pairahan angusht-e-sozan par ye kya wahshat hai ai diwane pesh-az-marg wawaila rakkhi be-ja bina-e-khana-e-zanjir-e-shewan par