kya ho gaya hai gesu-e-khamdar ko tere aazad kar rahe hain giraftar ko tere ab tu hai muddaton se shab-o-roz ru-ba-ru kitne hi din guzar gae didar ko tere kal raat chobdar samet aa ke le gaya ek ghol tarah-dar-e-sar-e-dar ko tere ab itni kund ho gai dhaar ai yaqin teri ab rokta nahin hai koi war ko tere ab rishta-e-mariz-o-masiha hua hai khwar sab pesha-war samajhte hain bimar ko tere bahar nikal ke aa dar-o-diwar-e-zat se le jaegi hawa dar-o-diwar ko tere ai rang us mein sud hai tera ziyan nahin khushbu uda ke le gai zangar ko tere