junun mein dhyan se aakhir phisal gai koi shai na jaane kis ki dua se sambhal gai koi shai abhi abhi meri aankhon mein kuchh dhuan sa utha abhi abhi mere sine mein jal gai koi shai bahut sambhaal ke rakhne ki hum ne koshish ki hamare hath se phir bhi nikal gai koi shai main jab bhi dekhta hun zindagi ka pichhla waraq to aisa lagta hai dil mein kuchal gai koi shai hamari zindagi garche thi muntashir pahle jo waqt aaya to sanche mein dhal gai koi shai na koi zauq-e-tamasha na koi rang-e-hayat zaruraton ke bahane badal gai koi shai