junun mein mashq-e-tasawwur badha raha hun main wo pas aae to ab dur ja raha hun main faza-e-gulshan-e-hasti pe chha raha hun main tere karam ka karishma dikha raha hun main wo chaar tinke jinhen barq bhi jala na sake inhin se apna nasheman bana raha hun main hai aadmi ka muqaddar khud us ke hathon mein kuchh is fareb mein bhi mubtala raha hun main ubhar rahe hain fasane haqiqaten ban kar haqiqaton ko fasane bana raha hun main kuchh aur qissa-e-dar-o-rasan suna waiz ki is khayal se taskin pa raha hun main wo ek nazar ki jise jaan-e-muddaa kahiye usi nazar ko teri dhundhta raha hun main nahin hun maslahat-andesh haq-bayani mein yahi hai jurm saza jis ki pa raha hun main samajh chuka hun haqiqat hayat-e-fani ki wufur-e-gham mein bhi ab muskura raha hun main kamal-e-faiz-e-mohabbat nahin to phir kya hai ki zarre zarre mein ab un ko pa raha hun main unhen ba-in khirad-o-hosh pa saka na kabhi mata-e-hosh-o-khirad kho ke pa raha hun main rah-e-majaz-o-haqiqat ke mod par 'zauqi' khada hua hun magar ladkhada raha hun main