KHirad wala bhi apne aap se begana aata hai

khirad wala bhi apne aap se begana aata hai
jo un ki bazm se aata hai wo diwana aata hai

na josh-e-mai na kaif-e-naghma-e-rindana aata hai
ek aisa waqt bhi ai saqi-e-mai-khana aata hai

bayan-e-dard dil ko waiz-e-farzana aata hai
wo kya jaane haqiqat us ko to afsana aata hai

main chalta to hun ghar se jaanib-e-masjid magar naseh
qadam ruk jate hain raste mein jab mai-khana aata hai

khirad walon se jab hal masalon ke ho nahin pate
to phir is kaam ki khatir koi diwana aata hai

bahut mushkil hai in se bach ke rudad-e-alam kahna
ki afsane se pahle sahab-e-afsana aata hai

na jaane kaun si lazzat hai is sozish mein ai 'asi'
ki pesh-e-shama jalne ke liye parwana aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close