mai-kashi chhod di tauhin-e-hunar kar aaya jam ultae subu zer-o-zabar kar aaya jab wo diwar giri thi to ye dar kyun rahta bas yahi soch ke mismar wo ghar kar aaya dasht-e-imkan mein tanha main kahan tak jata jab guman bhi na raha tark safar kar aaya ek ummid ka aalam hai ki thakta hi nahin bar-e-ehsan se bhi sarf-e-nazar kar aaya rah dushwar thi aur is ke taghaful ka yaqin shukr-e-altaf ki ye marka sar kar aaya wahshat-e-zist mubarak teri sabit-qadami dagh bharta raha qatre ko guhar kar aaya nawak-e-naz teri khair ki ishq-e-khush-nud khud-numai ke liye khun-e-jigar kar aaya mujh se behtar to mera khwab tha jhuta hi sahi tere pahlu mein jo ek raat basar kar aaya hum samajhte the jise hamdam-o-hamraaz apna wo hi 'salman' harifon ko khabar kar aaya