main sochta hun kabhi aisa ho na jae kahin ki khwab aankh mein ho aankh so na jae kahin main jaanta hun bahut roz wo na thahrega magar is arse mein wo zahr bo na jae kahin jo ek aks banaya tha pichhli barish ne wo shakl ab ke se barsat dho na jae kahin use ye shikwa ki main ne na puchha haal us ka mujhe ye khauf mein bola to ro na jae kahin badhi jo umr to ab tajraba satane laga hai dar ki budha shajar hum se kho na jae kahin badon ke faiz se hasil hai shams' ko ye kamal ki us ke sath jo aa jae to na jae kahin