uqab dil ho to sara jahan ek sa hai zamin koi bhi ho aasman ek sa hai koi thikana watan ka badal nahin hota muhajiron ke liye har makan ek sa hai tayyunat-e-ilaqa briadri firqe sipah-e-jahl kahin ho nishan ek sa hai wo koi sahab-e-jagir ho ki mulla ho magar hamare liye qahrman ek sa hai nigah masnad-e-ala pe roz-e-awwal se dayar-e-yar ka har pasban ek sa hai panah daman-e-qanun mein na masjid mein hamare shahr mein har saeban ek sa hai hamari aankh ka tara wo ho nahin sakta tamam bazm pe jo mehrban ek sa hai faluja-o-najaf-o-karbala se pahle wo samajh rahe the ki har be-zaban ek sa hai hazar bar bhi lut kar sabaq nahin sikha wafa ke shahr mein har khush-guman ek sa hai jihad-e-saif ho 'khalid' ki ho jihad-e-qalam kisi zaban mein ho imtihan ek sa hai