kabhi jo aankhon mein pal-bhar ko khwab jagte hain to phir mahinon musalsal azab jagte hain kisi ke lams ki tasir hai ki barson baad meri kitabon mein ab bhi gulab jagte hain burai kuchh to yaqinan hai be-hijabi mein magar wo fitne jo zer-e-naqab jagte hain sitam-shiaron hamara tum imtihan na lo hamare sabr se sad inqalab jagte hain hamein khud apni samaat pe sharam aati hai ki mimbaron se ab aise khitab jagte hain ye nind leti hai 'akhlaq' wo khiraj ki bas jo khub sote hain ho kar kharab jagte hain