justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae shauq-e-manzil hi charagh-e-rah-e-manzil ho jae hae ye josh-e-tamanna ye nigun-sari-e-ishq wo jo aise mein chale aaen to mushkil ho jae justuju shart hai manzil nahin mashrut-e-talab gum ho is tarah ki gard-e-rah-e-manzil ho jae wasl ka khwab kuja lazzat-e-didar kuja hai ghanimat jo tera dard bhi hasil ho jae zabt bhi sabr bhi imkan mein sab kuchh hai magar pahle kambakht mera dil to mera dil ho jae aah us aashiq-e-nashad ka jina ai dost jis ko marna bhi tere ishq mein mushkil ho jae kaamran hai wo mohabbat jo bane ruh-e-gudaz dard-e-dil had se guzar jae to khud dil ho jae mahfil-e-dost mein chalta to hun ai dida-e-shauq ishq ka raaz na afsana-e-mahfil ho jae qabil-e-rashk bane zindagi-e-ishq us ki jis ki tu zindagi-e-ishq ka hasil ho jae apne 'ehsan' ko tu hi koi tadbir bata jis se ye nang-e-mohabbat tere qabil ho jae