main ek harf maani ka ek daftar wo main ek mauj-e-sarab-e-junun samundar wo tamam sabit-o-sayyar us ke halqa-ba-gosh ye kaenat hai ek daera to mehwar wo tamam mumlikaten us ke hi qalam-rau main sab us ke zer-e-nagin bahr-o-bar ka dawar wo saron pe ahl-e-karam ke hai abr rahmat ka sitam-garon ke liye qahr ka hai lashkar wo kahin hai din ki tapish mein shajar shajar saya kahin hai shab ke andhere mein mah-o-akhtar wo koi madad ko na aaega aisi manzil hai panah jaan ko milegi agar hai rahbar wo phir us ki hamd-o-sana kis tarah likhi jae hudud-e-lafz-o-maani se jab hai bahar wo kitab-e-din ki takmil ho chuki 'mohsin' zamin pe bhej chuka aakhiri payambar wo