rang jin ke mit gae hain un mein yar aane ko hai dhum hai pazhmurda phulon mein bahaar aane ko hai yar kuche mein tere dhuni ramane ke liye gham-zada hasrat-zada ek khaksar aane ko hai rahm karna ab ki meri aankh khulne ki nahin aakhiri ghash mujh ko ai parwardigar aane ko hai koi dam mein hashr hoga kuchh khabar bhi hai tumhein be-qarari lati hai ek be-qarar aane ko hai bhage jate hain bagule kanpta hai najd-e-qais khak udi kis ki yahan kis ka ghubar aane ko hai hosh ude jate hain yaro ruh hai sahmi hui said-gah-e-ishq se kis ka shikar aane ko hai jaan-e-jaan tu kijo jaan-bakhshi ki tujh ko dekhne ek be-kas be-khud o be-ikhtiyar aane ko hai dard-e-tanhai se chhudata hai aalam naza ka be-qarari kuch karti hai qarar aane ko hai gul-rukhon ki bazm mein jaane ko hai mera ghubar peshwai ke liye abr-e-bahaar aane ko hai ab meri aankhon ko hoga walwala didar ka hasrat in mein aa chuki hai intizar aane ko hai hogi ab aarasta turbat shahid-e-naz ki chadar-e-gul bichhti hai sham-e-mazar aane ko hai be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai ghuncha-o-gul kar rahi hain kyun gareban chaak chaak kaun se rashk-e-chaman ka dil-figar aane ko hai hijr mein dam ghutne ko hai kuch hai tafrih ka sans rukne ko hai hichki chand bar aane ko hai baithi hai laila gareban phadne ke waste kis ke majnun ka libas-e-tar-tar aane ko hai ghash se chaunko aankh kholo dam na todo ai 'sharaf' shukr ka sajda karo uth baitho yar aane ko hai