mana teri nazar mein tera pyar hum nahin kaise kahen ki tere talabgar hum nahin sincha tha jis ko khun-e-tamanna se raat-din gulshan mein us bahaar ke haqdar hum nahin hum ne to apne naqsh-e-qadam bhi mita diye lo ab tumhaari rah mein diwar hum nahin ye bhi nahin ke uthti nahin hum pe ungliyan ye bhi nahin ke sahab-e-kirdar hum nahin kahte hain rah-e-ishq mein badhte hue qadam ab tujh se dur manzil-e-dushwar hum nahin jaanen musafiran-e-rah-e-arzu hamein hain sang-e-mil rah ki diwar hum nahin pesh-e-jabin-e-ishq usi ka hai naqsh-e-pa us ke siwa kisi ke parastar hum nahin