justuju un ki dar-e-ghair pe le aai hai ab khuda jaane kahan tak meri ruswai hai dil abhi mail-e-sad-baadiya-e-paimai hai kyun abas ahl-e-chaman anjuman aarai hai hum qafas walon ko itna to bata de koi kya ye sach hai ki gulistan mein bahaar aai hai tere gham se mujhe imdad mili hai aksar jab tabiat gham-e-ayyam se ghabrai hai khanda-e-gul bhi wahi girya-e-shabnam bhi wahi hum to samjhe the nae dhab se bahaar aai hai is mein taskin ka pahlu na kahin makhfi ho ab tabiat nae andaz se ghabrai hai kya sitam hai ki teri aish bhari duniya mein tera diwana asir-e-gham-e-tanhai hai ye bhi sach hai ki tamanna hi hai bais gham ka ye bhi taslim ki har shakhs tamannai hai mast o diwana o majzub pe hansne walo tum tamasha jise samjhe ho tamashai hai ek duniya hai ki hangama hi hangama hai aur ek main hun ki tanhai hi tanhai hai ain mumkin hai ki mujh hi mein kami ho lekin samne aae mohabbat jise ras aai hai un se milte hi mere dil ne kiya ye mahsus jaise sadiyon se meri un ki shanasai hai