sanware aakhirat ya zindagi ko kahan itni bhi mohlat aadmi ko bujhai aansuon ne aatish-e-gham magar bhadka diya hai bekali ko bharam khul jaega danaiyon ka pukaro to zara diwangi ko jo sar jhukta nahin hai dil to jhuk jae faqat itni talab hai bandagi ko jo dil se phut kar aankhon mein chamke taraste rah gae hum is hansi ko