juz jurm-e-ishq koi bhi sabit kiya gunah nahaq hamari jaan li achchhe ho wah wah ab kaisa chaak chaak ho dil us ke hijr mein guththawan to lakht-e-dil se nikalti hai meri aah sham shab-e-visal hui yan ki is taraf hone laga tulua hi khurshid ru-siyah guzra main us suluk se dekha na kar mujhe barchhi si lag ja hai jigar mein teri nigah daman-o-jeb chaak kharabi-o-khastagi un se tere firaq mein hum ne kiya nibah betabiyon ko saunp na dena kahin mujhe ai sabr main ne aan ke li hai teri panah khun-basta bare rahne lagi ab to ye mizha aansu ki bund jis se tapakti thi gah gah gul se shagufta dagh dikhata hun tere tin gar muwafaqat kare hai tanik mujh se sal-o-mah gar mana mujh ko karte hain teri gali se log kyunkar na jaun mujh ko to marna hai khwa-makhwah nahaq ulajh pada hai ye mujh se tariq-e-ishq jata tha 'mir' mein to chala apni rah rah