log kahte hain mohabbat mein asar hota hai kaun se shahr mein hota hai kidhar hota hai us ke kuche mein hai nit surat-e-bedad nai qatl har khasta ba-andaz-e-digar hota hai nahin malum ki matam hai falak par kis ka roz kyun chaak gireban-e-sahar hota hai wuhin apni bhi hai barik-tar-az-mu gardan tegh ke sath yahan zikr-e-kamar hota hai kar ke main yaad dil apne ko bahut rota hun jab kisi shakhs ka duniya se safar hota hai us ki mizhgan ka koi nam na lo kya hasil mera in baaton se surakh jigar hota hai 'mushafi' hum to tere milne ko aae kai bar ai diwane tu kisi waqt bhi ghar hota hai