rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai nabz-e-bimar-e-wafa dud-e-charagh-e-kushta hai dil-lagi ki aarzu bechain rakhti hai hamein warna yan be-raunaqi sud-e-charagh-e-kushta hai nashsha-e-mai be-chaman dud-e-charagh-e-kushta hai jam dagh-e-shola-andud-e-charagh-e-kushta hai dagh-e-rabt-e-ham hain ahl-e-bagh gar gul ho shahid lala chashm-e-hasrat-alud-e-charagh-e-kushta hai shor hai kis bazm ki arz-e-jarahat-khana ka subh yak-bazm-e-namak sud-e-charagh-e-kushta hai