juz nihaal-e-arzu sine mein kya rakhta hun main koi bhi mausam ho ye pauda hara rakhta hun main warna kya bandhan hai hum mein kaun si zanjir hai bas yunhi tujh par meri jaan man sa rakhta hun main kar-e-duniya ko bhi kar-e-ishq mein shamil samajh is liye ai zindagi teri pata rakhta hun main main kisi mushkil mein tujh ko dekh sakta hun bhala dil-girafta kis liye hai dil bada rakhta hun main be-niyazi khu sahi teri magar ye dhyan rakh laut jaane ka abhi ek rasta rakhta hun main