kis chaman ki khak mein phulon ka mustaqbil nahin durbin nazron mein rang-o-bu hain aab-o-gil nahin shokhiyan hain jis ki har jumbish mein lakhon be-naqab kyun wo duzdida-nigahi haq-shanas-e-dil nahin jabr sahta hun magar kab tak sahun insan hun sabr karta hun magar dil sabr ke qabil nahin ai hawadis-ashna iza-talab dil muzda-baad ja raha hun us taraf ab main jidhar manzil nahin kya hua kyun chhu ke tum ghunche ko pichhe hat gae ye gul-e-nau-khez hai mera shikasta-dil nahin ai nigah-e-naz teri bazm mein laya hun main aaj us dil ko jo barq-e-tur ka qail nahin bazm-e-husn-o-ishq mein 'akbar' ki afsurda-dili dad ke laeq nahin be-dad ke qabil nahin