kaam aakhir jazba-e-be-ikhtiyar aa hi gaya dil kuchh is surat se tadpa un ko pyar aa hi gaya jab nigahen uth gain allah-ri meraj-shauq dekhta kya hun wo jaan-e-intizar aa hi gaya hae ye husn-e-tasawwur ka fareb-e-rang-o-bu main ye samjha jaise wo jaan-e-bahaar aa hi gaya han saza de ai khuda-e-ishq ai taufiq-e-gham phir zaban-e-be-adab par zikr yar aa hi gaya is tarah khush hun kisi ke wada-e-farda pe main dar-haqiqat jaise mujh ko e'tibar aa hi gaya hae kafir-dil ki ye kafir junun-angeziyan tum ko pyar aae na aae mujh ko pyar aa hi gaya dard ne karwat hi badli thi ki dil ki aad se dafatan parda utha aur parda-dar aa hi gaya dil ne ek nala kiya aaj is tarah diwana-war baal bikhrae koi msatana-war aa hi gaya jaan hi de di 'jigar' ne aaj pa-e-yar par umr bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya