zakhm ka indimal hote hue main ne dekha kamal hote hue hijr ki dhup kyun nahin dhalti jashn-e-sham-e-visal hote hue de gai mustaqil khalish dil ko aarzu paemal hote hue log jite hain jina chahte hain zindagani wabaal hote hue kis qadar ikhtilaf karta hai wo mera ham-khayal hote hue pa-e-ilzam aa rukin mujh par sari aankhen sawal hote hue aaj bhi log ishq karte hain samne ki misal hote hue khud se hans kar na mil sake 'ahmad' khush-sukhan khush-khisal hote hue