kharaba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga achanak ji uthen wo baam-o-dar aisa nahin hoga wo sab ek bujhne wale shola-e-jaan ka tamasha tha dobara ho wahi raqs-e-sharar aisa nahin hoga wo sari bastiyan wo sare chehre khak se niklen ye duniya phir se ho zer-o-zabar aisa nahin hoga mere gum-gashtagan ko le gai mauj-e-rawan koi mujhe mil jae phir ganj-e-guhar aisa nahin hoga kharabon mein ab un ki justuju ka silsila kya hai mere gardun-shikar aaen idhar aisa nahin hoga hayule raat bhar mehrab-o-dar mein phirte rahte hain mein samjha tha ki apne ghar mein dar aisa nahin hoga main thak jaun to bazu-e-hawa mujh ko sahaara de girun to tham le shakh-e-shajar aisa nahin hoga koi harf-e-dua mere liye patwar ban jae bacha le dubne se chashm-e-tar aisa nahin hoga koi aazar pahle bhi raha hoga mere dil ko raha hoga magar ai chaara-gar aisa nahin hoga ba-hadd-e-wusat-e-zanjir gardish karta rahta hun koi wahshi giraftar-e-safar aisa nahin hoga badaun teri mitti se bichhad kar ji raha hun main nahin ai jaan-e-man, bar-e-digar aisa nahin hoga