khak udti hai kharidar kahan kho gae hain jin se thi raunaq-e-bazar kahan kho gae hain sab ki peshaniyan sajdon se munawwar hain yahan ai khuda tere gunahgar kahan kho gae hain sar-nigun baithe hain sab zill-e-ilahi ke huzur kya hue sahib-e-dastar kahan kho gae hain jin ke daman mein duaon ke khazane the bahut wo sakhawat ke alam-dar kahan kho gae hain aisa ehsas-e-ziyan to kabhi guzra hi na tha dost kya hue aghyar kahan kho gae hain dhundhti phirti hai pagal ki tarah sham-e-awadh lucknow tere trahdar kahan kho gae hain khana-e-jaan mein andhera hi andhera hai tamam wo farozan dar-o-diwar kahan kho gae hain manzilen jin ki qadam-bosi pe nazan thin bahut wo jari qafila-salar kahan kho gae hain dhundta phirta hun darwesh o qalandar 'akhtar' sab ke sab aaina-kirdar kahan kho gae hain