kaam diwanon ko shahron se na bazaron se mast hain aalam-e-ijad ke nazzaron se zulfen bal khati hain ya jhumti hai kali ghata barish-e-nur hai har su tere rukhsaron se wan naqab utthi yahan chandni ne khet kiya kat gai zulmat-e-shab chand se rukhsaron se dekhta rah gaya aaina kisi ki surat zulfen atkheliyan karti rahin rukhsaron se dekhen kis tarah basar hote hain ayyam-e-junun yan to hai samna har dam inhin gham-khwaron se hath uljha hai gareban mein khade dekhte hain aur ummid koi kya kare gham-khwaron se kashish-e-dasht-e-bala hubb-e-watan daman-gir aaj ghar chhutta hai pahle-pahal aawaron se marte dam tak teri talwar ka dam bharte rahe haq ada ho na saka phir bhi wafadaron se be-dhadak pichhle pahar nala-o-shewan na karen kah de itna to koi taza-giraftaron se mausam-e-gul nahin paigham-e-ajal tha sayyaad dekh khali hai qafas aaj giraftaron se kya bura haal hai angdaiyan lete lete saqiya naz ab achchha nahin mai-khwaron se kanpte hathon se saghar ko bachaya to bahut kya kahen khud hi na sambhla gaya mai-khwaron se sar ko takra ke gaya hai koi sahra ki taraf khun sabit hai abhi shahr ki diwaron se ediyan wadi-e-ghurbat mein ragadte hi rahe dur khinchti gai manzil watan-awaron se kan mein pichhle pahar aai ek aawaz-e-hazin ab to gham-khwar bhi diq hain tere bimaron se jhilmilane laga jab 'yas' charagh-e-sahari phir to thahra na gaya hijr ke bimaron se