kar chuke barbaad dil ko fikr kya anjam ki ab hamein de do ye mitti hai hamare kaam ki dub de de baada-e-gul-rang mein zahid agar dekhiye ranginiyan phir jama-e-ehram ki aks-e-abru dekhte hain baada-e-sar-josh mein id hai saqi-paraston mein hilal-e-jam ki ibtida-e-ishq hai aur bujh raha hai dil mera ho chali dhimi abhi se lau charagh-e-sham ki aankh mein aansu hain mathe par araq hai maut ka le khabar umr-e-rawan apne chhalakte jam ki ho gai bazicha-e-atfal be-zauq-o-shuur shairi jo thi muradif mani-e-ilham ki pukhtagi samjhe hue hain jo tanasub ko faqat chahiye islah un ko is khayal-e-kham ki hai ye nazuk fan jo shayan-e-tahi-maghzi nahin daur-e-majlis mein zarurat kya hai khali jam ki hai 'aziz' aaina-e-lafzi muraatun-nazir husn-e-mani jab nahin phir shairi kis kaam ki