kali ghazal suno na suhani ghazal suno mausam ye kah raha hai ki dhani ghazal suno jaga wo dard dil mein ki aansu nikal pade barsa hai aaj tut ke pani ghazal suno afsana-e-junun nahin paband-e-mah-o-sal yaad aa raha hai daur-e-jawani ghazal suno apni tamam aql-parasti ke bawajud ye zindagi hai ab bhi diwani ghazal suno yun to sukhan ke aur bhi pairae hain magar kahni hai hum ko dil ki kahani ghazal suno hon zakhm-e-ishq ya ki zamane ke dard-o-dagh har gham yahan hai dushman-e-jaani ghazal suno khun-e-jigar mein fikr ki gahraiyan bhi hain gar hai mizaj-e-falsafa-dani ghazal suno sar par hawa-e-sang-e-malamat chali bahut lekin ghazal ne haar na mani ghazal suno zeb-e-shafaq hai nau-e-bashar ka lahu 'sahar' har shai hai is jahan ki fani ghazal suno